Sunday, October 31, 2010

Sewa hi sadhan
Sewa hi dhan
Sewa ki lagna
Sewa mein magna
Sewa ka marm
         Hi
Sewak ka dharm

Wednesday, October 27, 2010

Swami ko jaan
Usi ko pehchaan
Chod abhimaan
Tab hoga gyan
Sewa ka bhaan
Milavega Praan

Sunday, October 24, 2010

Samay hai vipreet
Tabhi Ulti reet
Lutgai preet
Dhokha de gaye meet

Wednesday, July 21, 2010

Samjo phir karo vishvas
Bahut ho chuka vinash
Utho roko na hona nirash
Satya ki rah hai vikas
Satya kehna nahi aasaan
Toot padega aasmaan
Chillayenge veh sabh
Hum sabh jagenge tab

Thursday, July 8, 2010

Koi nahi bolta
Ghoongat nahi kholta
Khoon kisi ka nahi khoulta
Koi emaan poora nahi tolta
Sab jaan choorate hain
Doosroon ko bhidate hain
Aanand manate hain
Prasaad pana chahte hain
Photo utarvate hain
Naam chapvate hain
Seva ke nnam par
Salah de jate hain
Swayam peeche choot jate hain
Prabhu sabko sd buddhi dein
Yeh vinay karna chahte hain

Saturday, July 3, 2010

Yahan to sab majboor hain
Apne paet ke majdoor hain
Aachai ke liye mashoor hain
Bheetar se swarthi bharpoor hain

Saturday, June 26, 2010

Aacharya Prathamesh ke maargdarshan se

Kaisa yeh jamana hai
Karte sabh bahana hai 
Kehte hum majboor hai 
Aadambar se bharpoor hain 
Sachaai se koso door hain 
Dum bharte to zaroor hain


Monday, June 21, 2010

Aacharya Prathamesh Ke Maargdarshan Se

Dhoondo Dhoondo
Dhoondo Aas Paas
Kaun Hai Khaas
Kisko Hai Pyas
Karna Hai Talash
Hona Mat Nirash
Bhagwad Kripa Hai Saath
Dhoondo

Friday, June 18, 2010

Aacharya Prathamesh ke maargdarshan se

Kismein hai aisi lalak,
Kiska dil raha hai dharak,
Kaun kahan raha hai fafak,
Dhoondo aisi kahan hai kasak.

Sheegra Hi

Intzaar karen